ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae

ab to ashkon ki rawani mein na rakkhi jae
us ki taswir hai pani mein na rakkhi jae

ek hi dil mein thahar jaen hamesha ke liye
zindagi naql-e-makani mein na rakkhi jae

zinda rakhna ho mohabbat mein jo kirdar mera
saat-e-wasl kahani mein na rakkhi jae

yun to milte hain sabhi log bichhadne ke liye
na-gahani ye jawani mein na rakkhi jae

bhul jaana hai to ai dost bhula de mujh ko
yaad ab yaad-dahani mein na rakkhi jae

jab koi ek kashish khinch rahi hai hum ko
kimiya falsafa-dani mein na rakkhi jae

dil bhi thoda sa subuk-dosh-e-tamanna kar de
kuchh tabiat bhi girani mein na rakkhi jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close