ab to khushi ka gham hai na gham ki khushi mujhe be-his bana chuki hai bahut zindagi mujhe wo waqt bhi khuda na dikhae kabhi mujhe un ki nadamaton pe ho sharmindagi mujhe rone pe apne un ko bhi afsurda dekh kar yun ban raha hun jaise ab aai hansi mujhe yun dijiye fareb-e-mohabbat ki umr bhar main zindagi ko yaad karun zindagi mujhe rakhna hai tishna-kaam to saqi bas ek nazar sairab kar na de meri tishna-labi mujhe paya hai sab ne dil magar is dil ke bawajud ek shai mili hai dil mein khatakti hui mujhe raazi hon ya khafa hon wo jo kuchh bhi hon 'shakil' har haal mein qubul hai un ki khushi mujhe
Please share if you liked this!!!