ab un se aur taqaza-e-baada kya karta jo mil gaya hai main us se ziyaada kya karta bhala hua ki tere raste ki khak hua main ye tawil safar pa-piyaada kya karta musafiron ki to khair apni apni manzil thi teri gali ko na jata to jada kya karta tujhe to ghere hi rahte hain rang rang ke log tere huzur mera harf-e-sada kya karta bas ek chehra kitabi nazar mein hai 'nasir' kisi kitab se main istifada kya karta