ab wo pahla sa iltifat kahan aap sunte hain meri baat kahan meri diwangi ka zikr chhida aaj pahunchegi jaane baat kahan dip kya dil jalae baithe hain phir bhi wo raunaq-e-hayat kahan zindagi ban gai hai afsana mujh ko le aae waqiat kahan ye bataun to baat jaegi lut gai dil ki kaenat kahan ye zamana bhi jaanta hoga hum ko le aae hadsat kahan un ki nazren badal gain 'iqbaal' ras aaegi ab hayat kahan