ab ye khula ki ishq ka pindar kuchh nahin diwar gir gai pas-e-diwar kuchh nahin jis ne samajh liya tha mujhe aasaman par ab jaanta hai wo mera kirdar kuchh nahin khud mujh ko e'timad nahin apni zat par inkar mera kuchh nahin iqrar kuchh nahin wo bhi samajh gaya ki hawas ka ye khel hai ab madh-e-chashm-o-gesu-o-rukhsar kuchh nahin mizrab-e-gham ne aur bhi khamosh kar diya go khinch gaya hai saz ka har tar kuchh nahin main bojh hun to phenk de ai kurra-e-zamin kuchh aur tez ghum ye raftar kuchh nahin dhundla gaya hai shisha-e-masumiyat 'khayal' ab infial-e-chashm-e-gunahgar kuchh nahin