abas hai pesh-e-arbab-e-suKHan azm-e-suKHan mujhko

abas hai pesh-e-arbab-e-sukhan azm-e-sukhan mujh ko
wafa kahne na degi qissa-e-ranj-o-mehan mujh ko

qafas mein mil gaya hai in dinon kuchh lutf hi aisa
ki bhule se nahin aati kabhi yaad-e-chaman mujh ko

khizan ki aafaten phirti hain ab tak meri nazron mein
bahaar-e-chand-roza kya dikhata hai chaman mujh ko

but-e-tarrar se jab shikwa-e-bedad karta hun
sunata hai wo zalim sar-guzasht-e-kohkan mujh ko

wo hans kar dekh lete hain jo kuche se guzarta hun
mubarakbaad 'bekhud' mera ye diwana-pan mujh ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close