abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh

abas wajud ka dukh tangi-e-hayat ka dukh
ki dil ne pala hua hai har ek zat ka dukh

talash-e-jannat-o-dozakh mein raegan insan
zamin pe roz manata hai kaenat ka dukh

kai jhamelon mein uljhi si bad-maza chae
udas mez pe daftar ke kaghzat ka dukh

gae dinon ka koi khwab dafn hai shayad
ki ab bhi aankh se rista hai baqiyat ka dukh

main aal se hun shah-e-karbala ki so mujh ko
chanab se bhi mila hai wahi furaat ka dukh

na jaane malik-e-kun kis tarah nibhata hai
ye dastaras ki suhulat ye mumkinat ka dukh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close