abhi to dil mein hai jo kuchh bayan karna hai

abhi to dil mein hai jo kuchh bayan karna hai
ye baad mein sahi kis baat se mukarna hai

tu mere sath kahan tak chalega mere ghazal
main rasta hun mujhe shahr se guzarna hai

kanar-e-ab main kab tak ginunga lahron ko
hai sham sar pe mujhe par bhi utarna hai

abhi to main ne hawaon mein rang bharne hain
abhi to main ne ufuq dar ufuq bikharna hai

diler hain ki abhi doston mein baithe hain
gharon ko jate hue sae se bhi darna hai

main muntazir hun kisi hath ka banaya hua
ki us ne mujh mein abhi aur rang bharna hai

hazar sadiyon ki rondi hui zamin hai 'nasim'
nahin hun main ki jise pahla panw dharna hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close