abhi to par bhi nahin taulta udan ko main bila-jawaz khatakta hun aasman ko main mufahamat na sikha dushmanon se ai salar teri taraf na kahin mod dun kaman ko main meri talab ki koi chiz shash-jihat mein nahin hazar chhan chuka hun teri dukan ko main nahin qubul mujhe koi bhi nai hijrat kataun kyun kisi balwe mein khandan ko main tujhe nakhil-e-falak se patakh na dun aakhir tere samet gira hi na dun machan ko main ye kaenat mere samne hai misl-e-bisat kahin junun mein ulat dun na is jahan ko main jise pahunch nahin sakta falasfa ka shuur yaqin ke sath milata hun us guman ko main