abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai

abru ki teri zarb-e-do-dasti chali gai
jitni kasai saif ye kasti chali gai

pesh-e-nazar hasinon ki basti chali gai
aaine ki bhi husn-parasti chali gai

achchha kiya sharab khuda ne haram ki
rindon ke sath baada-parasti chali gai

kis shahr se misal dun aqlim-e-ishq ko
jitni ye ujdi aur bhi basti chali gai

roze mah-e-siyam mein tode sharab se
hum faqa-maston ki wahi masti chali gai

wahshat-kade se rahmat-e-haq ne bhi ki gurez
badle hamare ghar se barasti chali gai

khain khuda ki rah mein lakhon hi thokaren
ta-la-makan bulandi-o-pasti chali gai

maston ne tark-e-mai ki qasam khai hai to kya
tauba kahan wo baat jo masti chali gai

in abruon ne ek ishaare mein jaan li
yak-dast teri tegh-e-do-dasti chali gai

dil hi gaya to kaun buton ka kare khayal
kabe ke sath sang parasti chali gai

hai aasman tak tere giryan ka mazhaka
bijli bhi rote dekh ke hansti chali gai

go dil ke badle daulat-e-duniya-o-din mili
to bhi ye jins hath se sasti chali gai

dagh-e-sharab daman-e-taqwa mein rah gaya
nashshe ko ruh-e-shaikh tarasti chali gai

tahtus-sara ko pahunchi hamari farotani
hum jitne past ho gae pasti chali gai

kyun kar ho ijtima-e-naqizain ai 'munir'
aate hi maut ke meri hasti chali gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close