achchhi guzar rahi hai dil-e-KHud-kafil se

achchhi guzar rahi hai dil-e-khud-kafil se
langar se roti lete hain pani sabil se

duniya ka koi dagh mere dil ko kya lage
manga na ek diram bhi kabhi is bakhil se

kya boriya-nashin ko hawas taj o takht ki
kya khak-ashna ko gharaz asp o fil se

dil ki taraf se hum kabhi ghafil nahin rahe
karte hain pasbani-e-shahr us fasil se

gahwara-e-safar mein khuli hai hamari aankh
tamir apne ghar ki hui sang-e-mil se

ek shakhs baadshah to ek shakhs hai wazir
goya nahin hain donon hamari qabil se

duniya mere pados mein aabaad hai magar
meri dua-salam nahin us zalil se

'jawed' ek gham ke siwa dil mein hai bhi kya
hum ghar chala rahe hain mata-e-qalil se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close