achchhi lagin kitabon mein baaten usul ki

achchhi lagin kitabon mein baaten usul ki
un par amal kiya hai yahi hum ne bhul ki

saleh riwayaton pe bhi aane laga zawal
qimat badhi hai in dinon kaghaz ke phul ki

bachchon ke rukh pe dekhi hai mayusiyon ki gard
jab khali hath ghar mein pahunchne ki bhul ki

ek aarzu ne dal diya hai azab mein
kab tak saza milegi mujhe ek bhul ki

wo apne aap mil gaya taqdir mein jo tha
hum ne tamam umr-e-tag-o-dau fuzul ki

hum ne to intizar mein umren guzar din
saat na aai husn-e-karam ke nuzul ki

eazaz pane walon mein kyun mera nam ho
'mehdi' jo ye zakat na main ne qubul ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close