adab-nawaz to ho koi fan-shanas to ho

adab-nawaz to ho koi fan-shanas to ho
hamein bhi shahr mein jine ki koi aas to ho

ye kya ki main hi sahe jaun ranj-e-tanhai
meri tarah kabhi us ka ji udas to ho

chale to kaise chale silsila mohabbat ka
wo be-rukhi hi sahi kuchh na kuchh asas to ho

ye aarzu hai kabhi main bhi khidkiyan kholun
magar gali ki hawa mere ghar ko ras to ho

lahu lahu hai badan phir bhi zindagi ke liye
mere labon pe koi harf-e-na-sipas to ho

is iltifat ko main kaise be-rukhi samjhun
nazar se dur sahi dil ke aas pas to ho

ye us ke aate hi kyun chup si lag gai 'khawar'
wo samne hai to kuchh us se iltimas to ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close