adawaton ka ye usko sila diya humne

adawaton ka ye us ko sila diya hum ne
ana ko us ki hamin mein duba diya hum ne

malal-o-huzn se ho kar guzarti rahon ko
yaqin-o-shauq se paiham mila diya hum ne

misal ban gai mahbub aur habib ki zat
ye aaina sar-e-alam dikha diya hum ne

tamam jabr-o-tashaddud ki had bhi khatm hui
ki jab se sabr ko mehwar bana diya hum ne

kisi khayal ka aana muhaal hai ab to
tasawwuraat ka khema jala diya hum ne

abhi bhi ungli uthane ki rasm baqi hai
har ek sabab ko agarche mita diya hum ne

ab aur gharq-e-tajassus na ho meri khatir
tumhein to faisla apna suna diya hum ne

ye lazmi hai ki 'asra' bhula diya jae
jo raaz dil ki zamin mein daba diya hum ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close