afsos teri yaad ne rasta nahin badla

afsos teri yaad ne rasta nahin badla
warna to mere ganw mein kya kya nahin badla

jo mom ka putla tha wo pighla nahin ab tak
jo aag ka dariya tha wo dariya nahin badla

mausam ki tarah roz badalna nahin aata
bachpan se isi waste chehra nahin badla

ab tak wo mere khun ka pyasa hai mera yar
ab tak mere dushman ka wo lahja nahin badla

manzil se bichhad jaenge manzar se nikal kar
so hum ne yahi soch ke rasta nahin badla

jaise tu badalne ka mujhe soch raha tha
ab tak to meri jaan main waisa nahin badla


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close