afsurdagi aazurdagi pazhmurdagi be-kar hai us pe hai jis ka tawakkul khush hai beda par hai hausla ho azm ho mehnat ho aur ummid-war aur kuchh us ke siwa kya zist mein darkar hai jis ne samjha zindagi ko jang hai wo kaamyab qabil-e-tahsin hai wo jo bar-sar-e-paikar hai lanten aur zillaten ruswaiyan nakaamiyan us ki qismat mein hai jo ki zist se bezar hai jis ki khushiyon ka sada 'hassan' ne rakkha khayal aaj meri jaan ke wo darpai aazar hai