agar charagh bhi aandhi se Dar gae hote

agar charagh bhi aandhi se dar gae hote
to sochiye ki ujale kidhar gae hote

ye mere dost mere chaara-gar mere ahbab
na chhedte to mere zakhm bhar gae hote

koi nigah jo apni bhi muntazir hoti
to hum bhi sham dhale apne ghar gae hote

agar wo meri ayaadat ko aa gaya hota
to doston ke bhi chehre utar gae hote

hamein to shauq-e-sukhan ne samet rakkha hai
wagarna hum to kabhi ke bikhar gae hote

unhen bhi mujh se mohabbat to hai 'nafas' lekin
main puchhta to yaqinan mukar gae hote


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close