agar wo hadisa phir se hua to

agar wo hadisa phir se hua to
main tere ishq mein phir pad gaya to

ki us ka ruthna bhi lazmi hai
mana lunga agar hoga khafa to

meri uljhan sulajhti ja rahi hai
dikhaya hai tumhi ne rasta to

yaqinan raaz-e-dil main khol dunga
diya apna jo us ne wasta to

chalo kuchh der ro len sath mil kar
koi lamha khushi ka mil gaya to

tujhe mahfuz kar lun zehn-o-dil mein
mila hai tu kahin phir kho gaya to

naya rishta nibhane ki talab mein
agar tuta purana rabta to

kaleje se laga kar rakhte hum bhi
hamein wo raaz apne saunpta to

'nazar' tum zindagi samjhe ho jis ko
faqat pani ka ho wo bulbula to


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close