agar wo ham-safar Thahren to hum ko Dar mein rakhte hain

agar wo ham-safar thahren to hum ko dar mein rakhte hain
bikhar jaen na hum khud ko muqayyad ghar mein rakhte hain

hamein sayyargan ki gardishen malum hain lekin
hum apni gardishon ko apne hi mehwar mein rakhte hain

safar ke baad rahte hain tasalsul mein safar ke hum
talash-e-rizq ka jazba shikasta par mein rakhte hain

hamara haal-e-dil ab tak kisi par khul nahin paya
wufur-e-dard ko hum zabt ki chadar mein rakhte hain

hum ahl-e-dard hain apna to shewa hi faqiri hai
jahan ke dard apni zat ke paikar mein rakhte hain

koi qarun baqi hai na koi shah ab 'asif'
wo kaise log hain khud ko jo qaid-e-zar mein rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close