agar ye raushni qalb o nazar se aai hai

agar ye raushni qalb o nazar se aai hai
to phir shabih-e-sitam-gar kidhar se aai hai

mahak raha hai badan mang mein sitare hain
shab-e-firaq bata kis ke ghar se aai hai

gulon mein rang to khun-e-jigar se aaya hai
magar ye tazgi is chashm-e-tar se aai hai

rawish rawish pe kuchh aaise tahal rahi hai saba
ki jaise ho ke teri rahguzar se aai hai

ise tu gosha-e-makhsus mein sambhaal ke rakh
kiran hai kucha-e-shams-o-qamar se aai hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close