agarche haal o hawadis ki hukmarani hai

agarche haal o hawadis ki hukmarani hai
har ek shakhs ki apni bhi ek kahani hai

main aaj kal ke tasawwur se shad-kaam to hun
ye aur baat ki do pal ki zindagani hai

nishan rah ke dekhe to ye khayal aaya
mera qadam bhi kisi ke liye nishani hai

khizan nahin hai ba-juz ek taraddud-e-beja
chaman khilao agar zauq-e-baghbani hai

kabhi na haal hua mera tere hasb-e-mizaj
na samjha tu ki yahi teri bad-gumani hai

na samjhe ashk-fishani ko koi mayusi
hai dil mein aag agar aankh mein bhi pani hai

mila to un ka mila sath hum ko ai 'amir'
na daudna hai jinhen aur na chot khani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close