agarche kahne ko kal kaenat apni thi

agarche kahne ko kal kaenat apni thi
haqiqatan kahan apni bhi zat apni thi

kahen to kis se kahen hum hayat apni thi
na koi din tha hamara na raat apni thi

koi bhi aaj to apna nazar nahin aata
jo tum the apne to kul kaenat apni thi

ye kya ki aaj koi nam tak nahin leta
wo din bhi the ki har ek lab pe baat apni thi

hamare pas raha kya hai ab ghamon ke siwa
wo din gae ki rah-e-shash-jihat apni thi

hamin se bhul kahin ho gai mohabbat mein
wagarna wo nigah-e-iltifat apni thi

jo tum qarib the har shai pe ikhtiyar sa tha
ye chand aur sitaron ki raat apni thi

hamein khud apni khirad ka ghurur le duba
nahin to ek zamane mein baat apni thi

'hayat' is liye nazm-e-kuhan ko tod diya
ki aaj sirf isi mein najat apni thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close