agarche maut ko humne gale lagaya nahin

agarche maut ko hum ne gale lagaya nahin
magar hayat ka ehsan bhi uthaya nahin

nazar ke samne ek pal bhi jo nahin thahra
wo kaun shakhs hai dil ne use bhulaya nahin

main apne aap ko kin raston mein bhul aaya
ki zindagi ne bhi mera suragh paya nahin

main jis ke waste malbus-e-harf bunta hun
wo ek khayal abhi zehn mein bhi aaya nahin

hazar khwahish-e-duniya hazar khauf-e-ziyan
meri ana ka qadam phir bhi dagmagaya nahin

hayat-e-jabr ka sahra-e-be-karan jis mein
mohabbaton ke shajar ka kahin bhi saya nahin

zamana guzra 'munawar' udhar se guzra tha
hawa ne naqsh-e-qadam aaj tak mitaya nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close