agarche roz mera sabr aazmata hai magar ye dariya mujhe tairna sikhata hai ye kya ghutan hai mohabbat ki pahre-dari mein wo kaghazon pe khuli khidkiyan banata hai use pata hai kahan hath thamna hai mera use pata hai kahan ped sukh jata hai main us ki nazron ka kuchh is liye bhi hun qail wo jis ko chahe use dekhna sikhata hai