agarche shoala ayan nahin hai agarche lab par dhuan nahin hai

agarche shoala ayan nahin hai agarche lab par dhuan nahin hai
nihan jise hum samajh rahe hain wo aag dil ki nihan nahin hai

ye rah wo hai ki har musafir ke tajarbe jis mein mukhtalif hain
wo kaun insan hai zindagi jis ki ek nai dastan nahin hai

kidhar ko jaen kise pukaren muden ki aage hi badhte jaen
ghubar ka bhi tere sahaara hamein to ai karwan nahin hai

zara ye sahra ko jaane walon se koi puchhe kahan chale tum
kahin hai koi zamin aisi jahan pe ye aasman nahin hai

wo mehrban ho to waswasa ye ki mehrbani ye dafatan kyon
wo sargiran hai to hai ye hasrat ki hae wo mehrban nahin hai

ye dil ki paiham si be-qarari nazar ki harkat-e-iztirari
aur us pe israr-e-parda-dari ki jaise wo raaz-dan nahin hai

wahi hikayat dil-o-nazar ki wahi kahani hai chashm-e-tar ki
'raza' ye meri ghazal-sarai nai koi dastan nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close