agarche zehn ke kashkol se chhalak rahe the

agarche zehn ke kashkol se chhalak rahe the
khayal sher mein dhalte hue jhijak rahe the

koi jawab na suraj mein tha na chand ke pas
mere sawal sar-e-asman chamak rahe the

na jaane kis ke qadam chumne ki hasrat mein
tamam raste dil ki tarah dhadak rahe the

kisi se zehn jo milta to guftugu karte
hujum-e-shahr mein tanha the ham, bhatak rahe the

ye us ne dekha tha ek raqs-e-na-tamam ke baad
wufur-e-shauq mein kaun-o-makan thirak rahe the

kitab-e-umr-e-guzishta ke hashiyon mein 'nabil'
wo shor tha ki zamin aasman dhamak rahe the


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close