ahd-o-paiman kar ke paimane ke sath umr guzri tere maikhane ke sath zindagi bhi ji chura kar rah gai kaun marta tere diwane ke sath ye na puchho rah-nawardan-e-haram kaun chhuta hum se but-khane ke sath khud-bakhud hal ho gae kitne sawal waqt ke khamosh afsane ke sath ai faqih-e-shahr kya is ka ilaj chashm-e-saqi bhi hai paimane ke sath hosh-mandon par garan hain ai 'rawish' un ki baaten tujh se diwane ke sath