ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho

ahl-e-hawas ke hathon na ye karobar ho
aabaad hon sitare zamin regzar ho

ek shan ye bhi jine ki hai ji rahe hain log
tufan se lagao samundar se pyar ho

haalat mein kabhi ye tawazun dikhai de
gham mustaqil rahe na khushi mustaar ho

nafrat ke sang-rezon ki barish thame kabhi
dair-o-haram ke beach safar khush-gawar ho

sadiyon se ghul rahi hai isi fikr mein hayat
rahzan se pak zist ki har rahguzar ho

baad-e-sumum lut le chehron ki tazgi
agli sadi ki aisi na fasl-e-bahaar ho

'najmi' jo apne ahd ki tarikh ban gae
un shairon mein kash mera bhi shumar ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close