ai aah teri qadr asar ne to na jaani

ai aah teri qadr asar ne to na jaani
go tuj ko laqab hum ne diya arsh-makani

yak khalq ki nazron mein subuk ho gaya lekin
karta hun main ab tak teri khatir pe girani

tuk dida-e-tahqiq se tu dekh zulekha
har chah mein aata hai nazar yusuf-e-sani

mamur hai jis roz se virana-e-duniya
har jins ke insan ki ye mati gai chhani

ek wamiq-e-nau ka hai samajh chaak gareban
karti hai jo rakhna koi diwar purani

bulbul hi sisakti na thi kuchh bagh mein tujh bin
shabnam gulon ke munh mein chuwati rahi pani

hai gosh-zada khalq mera qissa-e-jaan-kah
jab se ki na samjhe tha tu chidiya ki kahani

jun shama mujhe sharm hai zunnar ki ai shaikh
mala na japun raat ko be-ashk-fishani

jis samt nazar mauj-e-sarab aawe to ye jaan
howegi kisi zulf-e-chalipa ki nishani

kya kya mile laila-manshan khak mein 'sauda'
go apne bhi mahbub ki dekhi na jawani


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close