ai ahl-e-nazar soz hamin saz hamin hain aalam mein pas-e-parda-e-parwaz hamin hain ai jabr-e-mashiyat ba-hama be-par-o-baali ab bhi hai jinhen himmat-e-parwaz hamin hain khush hain ki nahin us sitam-ara ka sitam aam nazan hain ki us ke hadaf-e-naz hamin hain wo anjuman-e-naz-e-butan ho ki sar-e-dar jis samt se guzre hain sar-afraaz hamin hain dekhen jo kisi aur taraf bhi wo sar-e-bazm maqsud-e-nigah-e-ghalat-andaz hamin hain ai shahid-e-mani saf-e-shirin-sukhanan mein hai koi agar shair-e-tannaz hamin hain ai jaan-e-'zafar' 'hafiz'-o-'sadi' ki qafa mein ab waris-e-mai-khana-e-shiraaz hamin hain