ai but hain husn mein teri mashhur pinDliyan

ai but hain husn mein teri mashhur pindliyan
aisi kahan se lae pari hur pindliyan

mumkin nahin ki yun to kisi ki nazar pade
khul jaen nind mein to hain mazur pindliyan

bedariyon mein aain nazar ye to hai muhaal
makhfi hain waqt-e-khwab ba-dastur pindliyan

taban misal-e-shama hain fanus-e-nur se
har-chand paichon mein hain mastur pindliyan

ai 'nadir' un ke husn ki tarif kya likhun
sham-e-lagan se badh ke hain pur-nur pindliyan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close