ai dard dil mein rah kar dil hi ka raaz ho ja bimar-e-gham ka apne khud chaarasaz ho ja ai jazb-e-dil sarapa soz-o-gudaz ho ja duniya-e-rang-o-bu mein duniya-e-raaz ho ja han han badha de muddat pabandi-e-junun ki zulf-e-daraaz-e-jaanan umr-e-daraaz ho ja har zarra-e-haqiqat ye de raha sada hai pahle rah-e-talab mein khak-e-majaz ho ja sar nama-e-adam hai unwan-e-zindagani ai imtiyaz-e-hasti tafsir-e-raaz ho ja ai be-khabar guzar ja zauq-e-nazar ki had se jalwon mein us ke ghir kar jalwa-taraaz ho ja ai banda-e-tariqat aadab-e-zindagi sun mahw-e-sujud ho kar jaan-e-namaz ho ja khirqa sharab se tar dastar mai se rangin ai shaikh-e-pak-daman yun pak-baz ho ja tu raazdan hai dil ka dil raaz-dar-e-ulfat ya sarfaraaz kar de ya sarfaraaz ho ja tu raunaq-e-haram hai ya but-kada ki zinat khud imtiyaz ban kar ek imtiyaz ho ja jaana hai jab muqarrar dar-e-fana se 'afqar' rah-e-wafa mein mit kar khak-e-hijaz ho ja