ai dost teri baat sahar-KHez bahut hai

ai dost teri baat sahar-khez bahut hai
par tarz-e-takallum tera khun-rez bahut hai

gum-sum sa khada hai koi darwaza-e-dil par
is sham ka manzar to dil-awez bahut hai

mahfil mein tere hone se hai rang pe mausam
ahwal-e-khas-o-am tarab-khez bahut hai

ek shakhs jo uljha hai nai fikr-o-nazar mein
wo sahib-e-khush-fahm hai aur tez bahut hai

jo baat tu kahta hai wahi baat ho shayad
lekin teri ye baat gham-angez bahut hai

bhadke hue shoale hi mata-e-dil-o-jaan hain
'alam' tere kuche mein hawa tez bahut hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close