ai gard-baad tarf-e-chaman Tuk guzar kar

ai gard-baad tarf-e-chaman tuk guzar kar
bulbul ke par pade hain gulon par nisar kar

aae the aish ke liye so tu na yan mila
phir gham-kada ko uth chale hum apne haar kar

kya muskura ke tale hai ab phir kab aaega
dil be-qarar hota hai kuchh to qarar kar

daghon se dil ke sina to hai rashk-e-lala-zar
han ashk-e-surkh tu bhi to apni bahaar kar

dhajji bhi ek chhodi na daman-o-jeb ki
dast-e-junun ne luta mujhe tar tar kar

wo bhi na aaya aur nazar aane se rah gaya
dekha maza na aur dil ab intizar kar

be-chiz to nahin ye 'hasan' us gali mein roz
ja ja ke baat karte har ek se pukar kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close