ai ishq shad-kaam hun tere shuur se

ai ishq shad-kaam hun tere shuur se
mujh ko gila nahin hai kisi ke ghurur se

ye intiha-e-hosh hai aage khabar nahin
aawaz de raha tha koi mujh ko dur se

qatre ki kya bisat pata bhi nahin chala
ek mauj uth ke rah gai dariya-e-nur se

deta rahe zamana fareb-e-nashat ab
sar-khush hain hum to baada-e-gham ke surur se

qurban teri nim-nigahi ke dekh phir
aati hai mujh ko bu-e-mohabbat ghurur se

ai barq-e-husn izn-e-tamasha kabhi hamein
musa nahin jo laut ke aa jaen tur se

ye husn ye shabab ye masumi-e-jamal
tum dad lo khuda ki qasam ja ke hur se

kambakht us ne aur bhi majbur kar diya
baz aae hum ilahi dil-e-na-subur se

'faiq' mere mazaq mein be-maegi sahi
dad-e-sukhan-talab hun magar zi-shuur se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close