ai jahan gham ke siwa tujhse mila kuchh bhi nahin

ai jahan gham ke siwa tujh se mila kuchh bhi nahin
main pareshan to hua par hai gila kuchh bhi nahin

ja padenge wan hawaon ka safar hoga jahan
zindagi mauj samundar ke siwa kuchh bhi nahin

jo muqaddar ne diya us ko lagaya hai gale
jo bichhad hum se gaya us ki khata kuchh bhi nahin

baat kahne ki nahin aa to zara sun to kabhi
mahfilon mein hai maza tere bina kuchh bhi nahin

khwab aankhon mein liye din ke ujalon mein chalun
shab ki soya tha ki jaga tha pata kuchh bhi nahin

bas khalaon se nazar aai meri duniya use
wo samajhta hai ki andar hai bapa kuchh bhi nahin

kaun se munh se karoge ye bhala ahd-e-wafa
tum ki kahte the ye paband-e-wafa kuchh bhi nahin

baadalon ne jo kaha wo to sabhi ne hai suna
barishon ne jo kaha us ko suna kuchh bhi nahin

dil-girafta hi sahi khaki pasheman to nahin
ishq mein hum ko mayassar jo hua kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close