ai jazb-e-dil wo din to mayassar KHuda kare

ai jazb-e-dil wo din to mayassar khuda kare
mere liye wo hath utha kar dua kare

main jaan dun wafa se wo mujh par jafa kare
marna to mera apne hi dar par rawa kare

pamal shauq se dil-e-ashiq kiya kare
ye bhi tamasha shokhi-e-rang-e-hina kare

husn-e-butan mein shan-e-ilahi hai kya kahun
baithe na but-kade mein fidai to kya kare

is naznin se kah de ki ban jae nur-e-jaan
aankhon mein aae kaba-e-dil mein raha kare

haalat ko meri sun ke ajab naz se sanam
kahta hai mujh ko gham nahin koi mera kare

dekhe mere sanam ko to rohban-e-ishq bhi
salle-ala kahe kabhi shukr-e-khuda kare

kah dena un ke talib-e-didar se yahi
mirat ke dil mein surat-e-hairat raha kare

is aarzu ne mujh ko bulaya hai khak mein
ta musht-e-khak ko mere wo naqsh-e-pa kare

puchha tha main ne qais se ja kar ye dasht mein
jis mein na hoe sabr-o-tahammul wo kya kare

bola wo hans ke ji se guzarna hi khub hai
is ibtida-e-ishq ki yun intiha kare

fasl-e-bahaar aai hai mujh ko na rokiye
jata hun ab to dasht mein kuchh bhi hua kare

taswir-e-yar dil mein 'jamila' liye raho
kabe mein ja ke aashiq-e-nashad kya kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close