ai kash na hota ye asar aah-e-rasa mein

ai kash na hota ye asar aah-e-rasa mein
ek barhami aati hai nazar zulf-e-dota mein

dakhil jo hua halqa-e-taslim-o-raza mein
pata nahin wo farq saza aur jaza mein

us anjuman-e-naz mein kya kaam qaza ka
hun saikdon andaz jahan ek ada mein

mearaj-e-mohabbat mein huin lazim-o-malzum
hai ek kashish meri wafa teri jafa mein

sabit ye hua dard-e-mohabbat ke asar se
tasir dua mein hai na tasir dawa mein

dil jhukte hain aise ki kabhi sar nahin uthte
ushshaq ne kuchh paya hai naqsh-e-kaf-e-pa mein

ek uqda hai jo khul nahin sakta hai kisi se
ye kis ne girah dali tere band-e-qaba mein

'bekhud' ka nishan puchhte ho qafile walo
ek gard si udti hui dekha hai hawa mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close