ai khar khar-e-hasrat kya kya figar hain hum kya haal hoga us ka jis dil mein khar hain hum har chand dil mein tere zalim ghubar hain hum kitne dabe hue hain kya khaksar hain hum kya jaane kya dikhae kam-bakht raaz-e-dushman be-ikhtiyar ho tum aur be-qarar hain hum wan shokhiyon ne mare nakaam kaise kaise yan sadgi se kya kya umid-war hain hum ne rakht mai-kade mein ne kabe ka irada hain dil lagi ke bande yaron ke yar hain hum wan sarguzisht-e-dushman wo kah rahe hain munh par yan be-khudi hai is par kya raaz-dar hain hum saqi teri nigahen kab tak rahengi palti hai nashsha zahidon ko aur baada-khwar hain hum kaba hai sang-e-baalin zohad-e-khufta dil ka aur mai-kade ke andar shab-zinda-dar hain hum allah re zarf-e-dil ka sab ki jagah hai is mein be-gham rahe hai dushman kya gham-gusar hain hum ai hashr bach ke chalna ai charkh hat ke girna hai barq saya jis ka wo khar-zar hain hum itni khalish mizha ki ab badh gai ki goya zakhm-e-dil-e-adu mein khanjar-guzar hain hum kab tak rahega dushman jame se apne bahar ho aag aag jis se tum wo sharar hain hum dushman ki jeb mein tum sabr-o-shakeb mein hum tum dast-e-kotahi ho pa-e-nigar hain hum wadi-e-justuju se guzrin to kya ajab hai warafta kaise kaise lail-o-nahaar hain hum kya baada-e-jawani mard-azaman nasha tha ab ai 'qalaq' wabaal-e-khwab-o-khumar hain hum