ai KHusha-waqte ki shoKH-e-tarah-dar aa hi gaya

ai khusha-waqte ki shokh-e-tarah-dar aa hi gaya
han wo jaan-e-mai-kada msatana-war aa hi gaya

dard ki shiddat hi aakhir dard ka darman bani
be-qarari se mujhe aakhir qarar aa hi gaya

yaad the un ke mujhe sab ahd-o-paiman todne
wada-e-farda pe lekin e'tibar aa hi gaya

maut lai hai payam-e-ikhtitam-e-ranj-o-gham
aa gaya wo waqt baad-e-intizar aa hi gaya

is taraf josh-e-mohabbat us taraf josh-e-shabab
aa gaya han un pe dil be-ikhtiyar aa hi gaya

zauq-e-khud-bini ne dikhlai 'sahar' apni bahaar
husn ke masum chehre par nikhaar aa hi gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close