ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi

ai meri aankho ye be-sud justuju kaisi
jo khwab khwab rahin un ki aarzu kaisi

ragon mein khun hai shakhon ki surkh-ru ghunche
khizan mein ab ke bahaaron ki rang-o-bu kaisi

tamam patton ko mausam ne zard zard kiya
ye ek shakh-e-tamanna hai sabz-ru kaisi

karo to yaad milan ke wo awwalin lamhe
ki chhid gai thi nigahon mein guftugu kaisi

ye shahr-e-dil mein bhala aaj kis ki aamad hai
ye mahw-e-raqs hain khushbuen ku-ba-ku kaisi

ufuq ka chehra 'sukhan' is kadar udas hai kyun
shafaq ke rang mein ye surkhi-e-lahu kaisi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close