ai rasm-e-baghawat ke giraftar sipahi likkhi thi tere bakht mein ye haar sipahi us taj ke aur takht ke dushman hain hazaron mamur hifazat pe hain do-chaar sipahi ek tasht mein rakkhi hui farman-rawai ek tasht mein hain dirham-o-dinar sipahi malka hun mahal ki main mera hukm-e-mohabbat auqat kahan teri ki inkar sipahi kuchh waqt ki qurbat ke liye laut raha hai tankhwah mein chhutti ka talabgar sipahi zindan ki diwar pe likkhe rahe nauhe zanjir patakhta raha bimar sipahi khat chum ke aankhon se lagate hue 'komal' roya tha bahut tut ke har bar sipahi