ai sanam talib nahin wo KHuld se gulzar ka

ai sanam talib nahin wo khuld se gulzar ka
mubtala ko chahiye saya teri diwar ka

mehman hai koi dam ka ya koi saat ka wo
haal ab dekha nahin jata tere bimar ka

khubsurat gauhar-e-khush-ab ki har ek ladi
silsila kaisa bandha hai aansuon ke tar ka

ghar kiya hai ai sanam us mein teri taswir ne
band hona ghair-mumkin dida-e-didar ka

zindagani ka maza kya kya nahin dikhla gaya
is mere dil ke makan mein chhup ke aana yar ka

kijiye nazr-e-butan ab shauq se iman-o-dil
kya pahanna sahl samjha aap ne zunnar ka

khol kar pur-kaif aankhen dekhte hain wo idhar
lijiye wo khul gaya ab khana-e-khummar ka

dekhne ko tab kya ho talib-e-didar ka
nur se shams-o-qamar mein tere hi rukhsar ka

aasiyon ke jurm ko wo hashr mein ifsha kare
ai 'jamila' kaam ye hargiz nahin hushiyar ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close