ai shahr-e-sitam-pesha bata kis ko sada dun

ai shahr-e-sitam-pesha bata kis ko sada dun
ab kaun raha hai jise paigham-e-wafa dun

shamil meri sanson mein hai sadiyon ki aziyyat
aa gardish-e-dauran main tujhe bhi to dua dun

ashkon ke guhar bhi to nahin pas mere ab
main soch rahi hun gham-e-dauran tujhe kya dun

darti hun bikhar jaegi khakistar-e-jaan bhi
bujhte hue shoalon main tumhein kaise hawa dun

wo log jo sargarm-e-takallum hain sar-e-bazm
kaise unhen aadab takallum ke sikha dun

ai raat sarabon ke siwa kuchh na milega
main din ke ujale mein agar shama jala dun

'gulnar' sar-e-shakh-e-chaman lala-o-gul ko
de de wo ijazat to mahakne ki ada dun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close