aisa hone nahin deta tha magar hone ko hai

aisa hone nahin deta tha magar hone ko hai
zindagi ab to na jine mein basar hone ko hai

par jo kate gae ja phaile hawaon mein tamam
apni parwaz ba-andaz-e-digar hone ko hai

wahshat-e-dil tujhe le kar main kahan jaun bata
rahte rahte to ye virana bhi ghar hone ko hai

dil se phir khel rahi hain wahi ziddi yaaden
zarra zarra mera phir zer-o-zabar hone ko hai

shama ki lau ki tarah jaan dhali jati hai aaj
shayad apni shab-e-gham ki bhi sahar hone ko hai

surakh-ru khun-e-jigar se hi hua karte hain log
kya hai 'bilqis' agar jaan ka zarar hone ko hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close