aisa kuchh mujh ko padha phir mujhe padhna na pade mujh se kuchh aisa kara kuchh kabhi karna na pade panw rakkhun main jahan bhi wo zamin ho meri ajnabi rahon pe yarab mujhe chalna na pade log mar jate hain jine ki tamanna le kar zinda rahne ki jo khwahish ho to marna na pade chand ho aur na zamin ho na sitare na falak mujh ko is shahr mein yarab kabhi rahna na pade teri chaukhat pe jo aaun main ziyarat ke liye mere maula mujhe phir girna sambhalna na pade