aisa wo be-shumar-o-qatar intizar tha

aisa wo be-shumar-o-qatar intizar tha
pahli hi bar dusri bar intizar tha

khamoshi-e-khizan thi chaman-dar-chaman tamam
shakh-o-shajar mein shor-e-bahaar intizar tha

dekha to khalwat-e-khas-o-khashak khwab mein
raushan koi charagh-e-sharar intizar tha

bahar bhi gard umid ki udti thi dur dur
andar bhi chaaron-samt ghubar intizar tha

phaile hue wo ghas ke takhte na the wahan
dar-asl ek silsila-war intizar tha

koi khabar thi aamad-o-imkan-e-subh ki
aur us ke ird-gird hisar intizar tha

kis ke guman mein the nae mausamon ke rang
kis ka mere siwa sarokar intizar tha

umda hua hujum-e-tamasha tha daen-baen
tanha thin aankhen aur hazar intizar tha

chakkar the panw mein koi sham-o-sahar 'zafar'
upar se mere sar pe sawar intizar tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close