aise bhi kuchh gham hote hain

aise bhi kuchh gham hote hain
jo ummid se kam hote hain

aage aage chalta hai rasta
pichhe pichhe hum hote hain

rag ka waqt nikal jata hai
jab tak sur qaem hote hain

bahar ki khushki pe na jao
patthar andar nam hote hain

milne koi nahin aata jab
apne aap mein hum hote hain

chehron ki to bhid hai lekin
sahi salamat kam hote hain

nazmen ghazlen khat afsane
us ke nam raqam hote hain

dil ke shelf mein 'shahid' kitni
yaadon ke album hote hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close