aise kai sawal hain jin ka jawab kuchh nahin

aise kai sawal hain jin ka jawab kuchh nahin
harf o sada fuzul sab lauh o kitab kuchh nahin

un se kaho ki is tarah aankhon se bad-guman na hon
kaise ajib log hain kahte hain khwab kuchh nahin

baithe-bithae dil yunhi khud se uchat ho gaya
anjuman-e-hawas mein waise kharab kuchh nahin

farq bahut nahin yahan sham o sahar ke darmiyan
pyas agar dabi rahe aab o sarab kuchh nahin

jaan ka bas ek qarz hai wo bhi utar hi jaega
aur kai aziz ka hum pe hisab kuchh nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close