aise ki mohabbat ko mohabbat na kahenge

aise ki mohabbat ko mohabbat na kahenge
is aam inayat ko inayat na kahenge

kahiye to kahun anjuman-e-ghair ko rudad
kya ab bhi ise aap karamat na kahenge

samjhenge na aghyar ko aghyar kahan tak
kab tak wo mohabbat ko mohabbat na kahenge

jab arbada-ju tum ho to kyun sabr sameten
hum is mein raqibon ki shararat na kahenge

hai yaad 'zahir' un ka shab-e-wasl bigadna
wo talkhi-e-dushnam ki lazzat na kahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close